Search
 
Write
 
Forums
 
Login
"Let there arise out of you a band of people inviting to all that is good enjoining what is right and forbidding what is wrong; they are the ones to attain felicity".
(surah Al-Imran,ayat-104)
Image Not found for user
User Name: DrUzmaSyed
Full Name: druzmasyed@gmail.com
User since: 15/Feb/2012
No Of voices: 28
 
 Views: 1918   
 Replies: 0   
 Share with Friend  
 Post Comment  

Bay'qarar Lamhon Mein

 

Bay'qarar lamhon mein
sochti hun jab tum ko
Bay'khumaar aankhon mein
Khwab se sulaghtey hain

Janti hun mein janaan
Khwab hi ho tum lekin
Sa'toun ki laryon mein
kuch khushi pirooni hai!

Tishnagi ke aalam mein
kuch siraab piyason ko
Zindagi ke sehra mein 
jaam ban ke miltey hain.

Rut khizaan ki thehrey to
jhartey peelay pat'ton mein,
Ankhili si kalyon ke
rang bhi jhalaktey hain!

Maslehat ke pehrey mein
tum bhi sans laitey ho,
Hum bhi zeest kartey hain
dil se mavra ho kar!

Kon kis ko parkhey ga
Ulfaton mein jaan e jaan?
Zeest gar wafa karti
hum kahan miley hotey?

Phir bhi bay'khayali mein
hans ke ro diye jaanan
Soch kar najaaney kya
bay'qarar lamhon mein!

 No replies/comments found for this voice 
Please send your suggestion/submission to webmaster@makePakistanBetter.com
Long Live Islam and Pakistan
Site is best viewed at 1280*800 resolution