Search
 
Write
 
Forums
 
Login
"Let there arise out of you a band of people inviting to all that is good enjoining what is right and forbidding what is wrong; they are the ones to attain felicity".
(surah Al-Imran,ayat-104)
Image Not found for user
User Name: nrqazi
Full Name: Naeem Qazi
User since: 25/Nov/2007
No Of voices: 390
 
 Views: 2135   
 Replies: 0   
 Share with Friend  
 Post Comment  

May God protect you All.

 

And, enjoy this poem:

 

Hasb e Haal 
Mazhab kai  jo bhyopari haiN,
Wo sab se bari bemari haiN,
Wo jin kai siwa sab kafir haiN,
Jo deen ka harf-e-akhir haiN;
 
             In jhutai aur makkaroN sai,
             Mazhab ke thaikaydaroN sai,
             MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
             JO CHAHE MUJH PAI ZULM KARO

Is daur kai rasm riwajoN sai,
In takhtoN sai in tajoN sai,
Jo zulm ki kokh sai jantai haiN,
Insani khoon sai paltai haiN;
 
            Jo nafrat ki bunyadaiN haiN
            Aur khoni khet ki khadeiN haiN,
            MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
            JO CHAHE MUJH PAI ZULM KARO
 
Wo jin kai hont ki jambish sai,
Wo jin ki aankh ki larzish sai,
Qanoon badalte rehtai haiN,
Aur mujrim paltai rehtai haiN;
 
            In chorooN kai sardaroN sai,
            Insaaf kai pehrai daroN sai,
            MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON

            JO CHAHE MUJH PAI ZULM KARO
 
Jo aurat ko nachwatai haiN,
Bazar ki jins banwatai haiN,
Phir is ki asmat kai gham maiN,
TehrikaiN bhi chalwatai haiN;
 
            In zalim aur badkaroN sai,
            Bazaar kai in maymaroN sai,
            MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
            JO CHAHE MUJH PAI ZULM KARO
 
  Jo qoam kai gham maiN rotai haiN,
Aur qom ki daulat dhotai haiN,
Wo mehloN maiN jo rehtai haiN,
Aur baat ghareeb ki kehtai haiN,
 
           In dhokai baz lutairoN sai,
           SardaroN aur wadairoN sai, 

           MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON
           JO CHAHE MUJH PAI ZULM KARO

 No replies/comments found for this voice 
Please send your suggestion/submission to webmaster@makePakistanBetter.com
Long Live Islam and Pakistan
Site is best viewed at 1280*800 resolution