Search
 
Write
 
Forums
 
Login
"Let there arise out of you a band of people inviting to all that is good enjoining what is right and forbidding what is wrong; they are the ones to attain felicity".
(surah Al-Imran,ayat-104)
Image Not found for user
User Name: DrUzmaSyed
Full Name: druzmasyed@gmail.com
User since: 15/Feb/2012
No Of voices: 28
 
 Views: 2695   
 Replies: 0   
 Share with Friend  
 Post Comment  

Mizaaj Aashna...

 

Woh meray dheemey lehjey se larzaan hai. Aaj mujhe yakeen ho gaya keh woh mujhe jaanney laga hai. Samajhney laga hai keh meri khamoshi zumani hoti hai. Jab mein kuch kehti hun to shayad usko taskeen rehti hai keh humara rishta kayem hai, mager jab mein uski buland (khamosh) pukaar ke jawab mein kuch nahin kehti to ussey humara nata tootney ka andeesha hota hai. Ajeeb sheh hai yeh mohabbat, insaan ko kis kader mizaaj aashna bana daiti hai. Mein khamosh nazron se uskey ghussey or tarap ki hadd ko dekhti hun mager dharkan ka shor iss kader hota hai keh uske kahey huay ilfaz sunaii nahin daitey mager uska dil uski rooh merey wajood sey batien karty heen . Kuch or lafz goonjtey hain, mager woh to mazi ke mehaktey huay lamhe hain jo meri rooh mein gardish kartey hain. Zehn iss talkh or anjaan aadmi mein woh masoom aur mohabbat karne waala shaks talash kar raha hai jis ke liye hum ne jaan dai daina bhi sehel samjha tha. uske chehrey ke nakoosh aashna honey ke bawajood kis kader na manoos lag rahe hain. Aisa lagta hai jaisey tamam aalam sakoot mein aa gaya, zameen ne gardish chor di aur zindagi katra katra aankhon se risney lagi. Abhi kuch mehsoos nahin ho raha aur iss jamood mein meray sabr ka paimana labraiz ho raha hai. Abhi mein ne apne sabr ke saath iss rishtey ko baandh rakkha hai. 

Uss lamhe ka khauf mujhe aaney waali kaye raaton ko jagayey ga jab iss khamoshi mein dil ke kareeb koi bohot azeez rishta shikasta ho jaye ga aur seeney mein eik dard aur talkhi sulaghney lagey gi. Phir humarey khamosh paiker mein aansoyon aur jazbon ka sailaab uthay ga jo humarey khwab aur saath ko duur baha lai jaye ga.Phir yaad rahein gay sirf yeh ilfaaz jo bichertey waqt kahey aur sunay thai. Woh hazaron haseen lamhe jinhain hum roz yaad kar ke jeetey hain us talkhi ki nazer ho jain gay ho humari mohabbat ka aakhri zaika baney gi. kisi key khoobsoorat nakoosh mein faraib, chalaki aur haiwaneeyat nazer aaney lagey gi. kisi ki bholi bhaali batoun mein chupey huay taaney aur tazleel ubharney lagain gay. Woh naam jo hathaili par likhtey likhtey haath thaktey nahin thai, kaheen se sun lain gay to dil nafrat o kadoorat se bhar jaye ga. wo merey khat jo tum ney apney seeney sey laga kar rakhy heen, jinheen tum apna srmaya-e-hayaat samjhtey hoo aur kabhi kabhi yunhi fursat mein parh ke hansty hoo, kisi din aag ke aalao mein bina kisi ehsas e zayan ke jala doo gy. Ek dojey ki tasveer jisey bosay dainey ki rasm namaz ke arkan ki tarah aadat mein shamil hai, kal pharr ke phainkte huay koi takleef nahin ho gi. Yeh saari masoomiat aur sadgi ki batein kabhi kisi aur ki zindagi ka hissa lagain gi. Yeh sab soch ke kis kafir ko neend aa sakti hai. 

Najaane woh kyun nahin soya. Mein uski sanson ke utaar charhao ko bhi jaanti hun. Meray itne kareeb aankhein band kiye laita hai, mager woh soya nahin. Ussey dil ki batein kehne ki aadat nahin aur mein bacchon ki tarha har baat bataney ki aadi hun. Apna khauf aur andaisha ussey batana chahti hun takey woh mazbooti se mujhe apne aur kareeb kar lai aur hum ek naie subah mein shararti lehjey mein mazret kar ke phir apni khushi or mohobat se bharri zindagi ka aghaaz karein. Humarey darmian eik ana ki deewar hai jo din ba din oonchi hoti jaye gi aur iss ke donon taraf do bohot pashaiman paiker sulaghtey rahein gay. US ne khamoshi nahin tori, iss mein tumhari ana bhi to shamil hai na. Ager mein ne ghussey mein burra bhala kaha to tum ne bhi to mujh sey baat nahin kee. najaaney kahan se samander pighal gaya aur aankhon se behne laga. Socha ke kisi subah mana loo gy halanke ghalti meri hai, mager phir dil ne kaha ke ghalti kisi ki bhi ho nuksaan to donon ka ho ga. Mager ek baar Phir mein ney bachpane mein ussey kai hazar khotoot likh daly, usky wajood ko hila ke poocha ke mein yaad hoon k bhool gayeh , phir larai kar lain gay. uss ne hanstey huay aankhein khoolein mager meray aansoo dekh ke bechain ho gaya or mein usky aansoo dekh kar. Aaj barrey dinon ke baad ussey rotey huay dekha. Meray tamaam khauf uski zabaan se sunay to naraz hona bhi bhool gaye aur pyar se ussey samjhaney lagi keh hum kabhi bhi alag nahin ho saktey. aaj mein ne jaana keh Woh meray dheemay lehjey se kis kader larzaaan hai, jistarhan usky khamoshi mery wajood ko hila kar rakh deti hy. Mohabbat wakehi insaan ko mizaaj aashna bana daiti hai! 

 

 No replies/comments found for this voice 
Please send your suggestion/submission to webmaster@makePakistanBetter.com
Long Live Islam and Pakistan
Site is best viewed at 1280*800 resolution