Search
 
Write
 
Forums
 
Login
"Let there arise out of you a band of people inviting to all that is good enjoining what is right and forbidding what is wrong; they are the ones to attain felicity".
(surah Al-Imran,ayat-104)
Image Not found for user
User Name: DrUzmaSyed
Full Name: druzmasyed@gmail.com
User since: 15/Feb/2012
No Of voices: 28
 
 Views: 1953   
 Replies: 0   
 Share with Friend  
 Post Comment  

Harf e Dua

 

Aaj ghazab ka udas hai dil. Aisa lagta hai jaisey saarey zamaney ki wehshat seeney mein utar aaye hai. Palkon par garam aansoyon ki chubhan mehsoos ho rahe hai, mager koi aisa humnawa ya humsukhan nahin jis ke kandhey pe sar rakh ke dil ka bojh halka kar sakein. Aasman ki taraf nigah uthai to dil mein dard ki tees si utthi, keh humari manajaat aur mohabbatein apni jagah, mager mailk aaj tujh se bhi shikwa karna hai humain. Yeh baat sochi hi thi keh chehra ashkon sey tar ho gaya aur zabaan par harf e dua aa gaya. 
Meray mola, tu rehmaan o raheem hai, mager teri rehmat kis kader laparwah hai humarey dard aur takleef se! Tu rabb e mashrikaain o maghribaan hai mager teri rabbubiyat humarey chotey se daman aur dil ko sair karne se kasir kyun hai? Tu kahaar o jabbar hai, mager tera kehr un tak nahin pohnchta jo humarey dil aur rooh ko azaar pohnchaatey hain? Tu humaree shehragh se bhi zayada kareeb hai, mager humarey seeney ke is namukhtatum karb se na aashna kaisey hai? Tu mushkil kusha hai, mager humaree namaz e shab ki duayon ko kabooliyat nahin bakhsta. Hum ne tujh hi se manga, teri taraf raju kiya aur mayoosi mein bhi tujh hi se shikwa kiya, phir tu humaree khaber kyun nahin laita?

 Lakh chotey barey gunah daman mein jamah hain, mager ussi daghdaar daman mein teri mohabbat aur bandgi se bharra dil bhi to hai. Ager humari sarkashi aur nafarmani teri narazgi ka sabab hain to iss rooh mein yeh bekulli aur jawani mein ebaadat ka showk teray kurb ki wajah kyun nahin? Jab log humaree dunya dari ki baat kartey hain to tu humaree manajaat aur aansooyon ka hisaab kyun nahin karta.

 Jab humarey laghzishion ka shumaar hota hai to humaree choti choti naikiyan aur nakarda gunah kyun nahin ginay jaatey? Mola humara sabr kam, himmat mehdood aur imaan kamzor hai, phir bhi teri bargah mein hath utha ke dua aur astaghfar kartey hain.

Koi kya humnawa ho ga humara, jo na humarey dard se wakif hai aur na khwahishon se. tu humain humari tamaam kamzoriyon ke saath janney aur chahney waala hai. Hum kaisey tujh se shikayat na karein aur kaisey rehmat ki umeed chor dain. Jab jab dil bojhal hota hai to teri bargah mein ro laine se jaane kitna hosla buland hota hai. Jab tak tu humaree faryad nahin sunay ga, hum teray dar par rotey rahein gay.

Jo duayein kabool ho gaien unka shukr bhi ada karein gay, aur apni namukhtatam khwahishaat ka izhaar bhi karein gay. Meray mailk apne bandon ke haal pe rehm kar aur humaree khaber lai. Duayon ka silksila ab humarey sanson ke sath hi tootey ga. Yeh aansoo tab hi rukain gay jab aankhain band ho jain gi. Tab bhi shayad rooh ka koi pashimaan gosha takleef aur soz mein sulaghta rahey ga, keh ebadat o manajat ke liye humain waqt kam mila, humarey khuda ne humain dunya ke kamon mein uljha diya aur jo haq tha tera who hum ada na kar paye! Abhi jaane kitne saal hain wisaal mein, jab hum bheegi palkon se tujhe pukarein gay aur teray kurb ki raah dekhain gay.

 Hum tujh se kitna pyar kartey hain mager dil dukhta hai yeh soch ke keh jaane kabhi hum bhi tujhe azeez hon gay ya humara shumaar bhi lakhon gunahgaron mein ho ga! Meray mola, teray hotey huay hum tanha hain, teri rehmat ke bawajood hum badhaal hain aur teri sunwaii ke baghair hum bebas. Malik humari khaber lai aur humarey gunah mauf kar dai. Humaree mushkilain aasan kar aur humain apne khas emaan waaley bandon mein shumaar kar.

 Humain buraiyon aur llaghzishon se duur kar aur naiki aur ebadat ki taufeeq ata kar. Humain deen dunya aur akhirat mein surkhrooh kar aur apna farma bardar banda bana. Malik humain rah e mustakeem par kaim rakh aur badi ki taraf bhatakne se bacha. Aye faryad ras, humaree duayein kabool farma aur humaree munajaat kabool farma. Ameen. Astaghfirullah e Rabbi wa atoobo alehe.

 No replies/comments found for this voice 
Please send your suggestion/submission to webmaster@makePakistanBetter.com
Long Live Islam and Pakistan
Site is best viewed at 1280*800 resolution